Khwaja Mir Dard

agar yo.n hii ye dil sataataa rahegaa
to ik din meraa jii hii jaataa rahegaa

mai.n jaataa huu.N dil ko tere paas chho.De
merii yaad tujhako dilaataa rahegaa

galii se terii dil ko le to chalaa huu.N
mai.n pahu.Nchuu.Ngaa jab tak ye aataa rahegaa

qafas me.n ko_ii tum se ai ham-safiiro.n
Khabar kal kii hamako sunaataa rahegaa

Khafaa ho ki ai "Dard" mar to chalaa tuu
kahaa.N tak Gam apanaa chhupaataa rahegaa

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

apane taaii.n to har gha.Dii Gam hai, aalam hai, daaG hai
yaad kare hame.n kabhii kab ye tujhe dimaaG hai

ji kii Khushii nahii.n giro sabz-o-gul ke haath kuchh
dil ho shaguftaa jis jagah wo hii chaman hai baaG hai

kis kii ye chashm-e-mast ne bazm ko yuu.N chhakaa diya
masl-e-habaab sar nagu.N sharam se har ayaaG hai

jalate hii jalate subah tak guzarii use tamaam shab
dil hai ke sholaa hai koii, shamaa hai yaa chiraaG hai

paaiiye kis jagah bataa aye but-e-bewafaa tujhe
umr-e-guzashtaa kii tarah gum hii sadaa suraaG hai

sair-e-bahaar-o-baaG se ham ko maaf kiijiiye
us ke Khayaal-e-zulf se dard kise faraaG hai?

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

chaman me.n subah ye kahatii thii ho kar chashm-e-tar shabanam
bahaar-e-baaG to yuu.N hii rahii lekin kidhar shabanam

arq kii buu.nd us kii zulf se ruKhasaar par Tapakii
taajjub kii hai jaage ye pa.Dii Khurshiid par shabnam

hame.n to baaG tujh bin Khaanaa-e-maatam nazar ayaa
idhar gul phaarate the jeb, rotii thii udhar shabanam

kare hai kuchh na kuchh taasiir sohabat saaf taabo.n kii
huii aatish se gul ke baiThate rashq-e-sharar shabnam

bhalaa tuk subah hone do ise bhii dekh leve.nge
kisii aashiq ke rone se nahii.n rakhati Khabar shabnam

nahii.n asbaab kuchh laazim subak saaro.n ke uThane ko
gaiii u.D dekhate apane baGair az baal-o-par shabnam

na paayaa jo gayaa is baaG se hargiz suraaG usakaa
na palTii phir sabaa idhar, na phir aaii nazar shabnam

na samajhaa Dard hamane bhed yaa.N kii shaadii-o-Gam kaa
sahar khandaan hai kyo.N rotii hai kis ko yaak kar shabanam

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

duniyaa me.n kaun kaun na yak baar ho gayaa
par muu.Nh phir is tarf na kiyaa us ne jo gayaa

phiratii hai merii khaak sabaa dar-ba-dar liye
aye chashm-e-ashkabaar ye kyaa tujh ko ho gayaa

aagaah is jahaa.N me.n nahiii.n Gair be Khudaa.N
jaagaa wahii idhar se jo muu.Nd aa.Nkh so gayaa

tuufaan-e-noah ne to Dubaaii zamiin faqat
mai.n nang-e-khalq saarii Khudaaii Dubo gayaa

baraham kahii.n na ho gul-o-bulbul kii aashatii
Darataa huu.N aaj baaG me.n wo tu.nd khuu gayaa

waaiz kise daraawe hai yom-ulhisaab se
giriyaa.N meraa to naamaa-e-aamal dho gaya

phule.nge is zabaa.N me.n bhii gulzar-e-maarafat
yaa.N mai.n zamiin-e-sher me.n ye tukhm bo gayaa

aaya na aitadaal par haragiz mazaaj-e-dahar
mai.n garche garm-o-sard-e-zamaanaa samo gaya

aye "Dard" jis kii aa.Nkh khulii is jahaa.N me.n
shabanam kii tarah jaan ko apanii wo ro gayaa

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

ham tujh se kis havas kii falak justajuu kare.n
dil hii nahii.n rahaa hai jo kuchh aarazuu kare.n

miT jaaye.n ek aan me.n kasarat namayaa.N
ham aa_iine ke saamane aa kar jo huu kare.n

taar-daamani pe sheiKh hamaarii na jaa_iio
daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n

sar taa qadam zabaa.N hai juu.N shamaa go ke ham
par ye kahaa.N majaal jo kuchh guftaguu kare.n

har cha.nd aa_iinaa huu.N par itanaa na qabuul
muu.Nh pher le vo jisake mujhe ruu-ba-ruu kare.n

ne gul ko hai sabaat ne ham ko aitabaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-buu kare.n

hai apanii ye salaah ke sab zahidaan-e-shahar
ai "Dard" aa ke bet-e-dast-e-sabuu kare.n

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

jag me.n aakar idhar udhar dekhaa
tuu hii aayaa nazar jidhar dekhaa

jaan se ho gaye badan Khaalii
jis taraf tuune aa.Nkh bhar ke dekhaa

naalaa fariyaad aah aur zaarii
aap se ho sakaa so kar dekhaa

un labo.n ne kii na masihaa_ii
ham ne sau -sau tarah se mar dekhaa

zor aashiq mizaaj hai ko_ii
"Dard" ko qisaa-e-muKhtasar dekhaa

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

meraa jii hai jab tak terii justajuu hai
zabaan jab talak hai yahii guftaguu hai

Khudaa jaane kyaa hogaa a.njaam is kaa
mai.n besabar itanaa huu.N wo tu.nd Khuu hai

tamannaa hai terii agar hai tamannaa
terii aarazuu hai, agar aarazuu hai

kiyaa sair hamane gulzaar-e-duniyaa
gul-e-dostii me.n ajab rang-o-buu hai

Ganimat hai ye diid waa diid-e-yaaraa.N
jahaa.N mu.nd gayii aa.Nkh, mai.n huu.N na tu hai

nazar mere dil ki pa.Dii "dard" kis par
jidhar dekhataa huu.N wahii ruu-ba-ruu hai

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

tohamate.n cha.nd apane zimme dhar chale
jis liye aaye the so ham kar chale

zindagii hai yaa koii tuufaan hai
ham to is jiine ke haatho.n mar chale

kyaa hame.n kaam is gulo.n se ai sabaa
ek dam aaye idhar udhar chale

dosto dekhaa tamaashaa yaa.N kaa sab
tum raho Khush ham to apane ghar chale

aah bas jii mat jalaa tab jaaniye
jab koii afsun teraa us paar chale

shamaa kii maani.nd ham is bazm me.n
chashm-nam aaye the daaman-tar chale

Dhuu.Ndhate hai.n aap se usako pare
sheKh saahib chho.D ghar baahar chale

ham jahaa.N me.n aaye the tanhaavaale
saath apane ab use lekar chale

juu.N sharaar ai hasti-e-bebud yaa.N
baare ham bhii apanii baarii bhar chale

ek mai.n dil resh huu.N vaisaa hii dost
zaKhm kitano.n kaa sunaa hai bhar chale

ham na jaane paaye baahar aap se
vo bhii aa.De aa gayaa jidhar chale

saaqiiyaa yaa.N lag rahaa hai chal chalaao
jab talak bas chal sake saaGar chale

"Dard" kuchh maaluum hai ye log sab
kis taraf se aaye the kidhar chale

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

tujhii ko jo yaa.N jalwaa farmaa na dekhaa
baraabar hai duniyaa ko dekhaaa na dekhaa

meraa Gu.nchaa-e-dil hai woh dil-girifataa
ke jis ko kaso ne kabhii waa na dekhaa

aziat, musibat, malaamat, balaaye.n
tere ishq me.n ham ne kyaa kyaa na dekhaa

kiyaa mujh ko daaGo.n sarv-e-chiraaGaa.N
kabho tu ne aakar tamaashaa na dekhaa

taGaaful ne tere ye kuchh din dikhaaye
idhar tu ne lekin na dekhaa, na dekhaa

hijaab-e-ruKh-e-yaar the aap hii ham
khulii aa.Nkh jab, koii paradaa na dekhaa

shab-o-roz aye "Dard" darapaaii huu.N us ke
kaso ne jise yaa.N samajhaa na dekhaa

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

tum aaj ha.Nsate ho ha.Ns lo mujh par ye aazamaaish naa baar baar hogii
mai.n jaana taa huu.N mujhe Khabar hai ki kal fazaa Khushagavaar hogii

rahe muhabbat me.n zindagii bhar rahegii ye kashamakash baraabar
naa tumako qurabat me.n jiit hogii naa mujhako furaqat me.n haar hogii

hazaar ulfat sataaye lekin mere iraado.n se hai ye mumakin
agar sharaafat ko tumane chhe.Daa to zindagii tum pe vaar hogii

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

No comments:

Post a Comment